har ek harf ho imkan tere jaisa ho
har ek harf ho imkān tere jaisā ho
mirī kitāb kā unvān tere jaisā ho
hazār baar gavārā hai pārsā.ī ko
jo merī zaat pe bohtān tere jaisā ho
koī savāl jo mushkil na ho tire jaisā
koī javāb jo āsān tere jaisā ho
maiñ umr-qaid ba-sad-nāz kaaT saktī huuñ
agar nasīb meñ zindān tere jaisā ho
mohabbatoñ kā sila ho to ho tire jaisā
mohabbatoñ meñ ho nuqsān tere jaisā ho
mujhe qubūl hai bār-e-digar ināyat ho
magar ye shart hai ehsān tere jaisā ho
shifā bhī detā hai ye mo.ajiza mohabbat kā
kisī marīz kā īmān tere jaisā ho
har ek harf ho imkan tere jaisa ho
meri kitab ka unwan tere jaisa ho
hazar bar gawara hai parsai ko
jo meri zat pe bohtan tere jaisa ho
koi sawal jo mushkil na ho tere jaisa
koi jawab jo aasan tere jaisa ho
main umr-qaid ba-sad-naz kaT sakti hun
agar nasib mein zindan tere jaisa ho
mohabbaton ka sila ho to ho tere jaisa
mohabbaton mein ho nuqsan tere jaisa ho
mujhe qubul hai bar-e-digar inayat ho
magar ye shart hai ehsan tere jaisa ho
shifa bhi deta hai ye moajiza mohabbat ka
kisi mariz ka iman tere jaisa ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.