har ek jalwa-e-nazdik-o-dur us ka tha
har ek jalva-e-nazdīk-o-dūr us kā thā
bikhar gayā huuñ to saarā qusūr us kā thā
jo us ke vāste mujh se ḳhafā rahā tā-umr
chhupā huā koī mujh meñ zarūr us kā thā
usī ne baḳhshī thī mujh ko junūñ kī sarshārī
ki raqs maiñ ne kiyā thā surūr us kā thā
har ek jalwa-e-nazdik-o-dur us ka tha
bikhar gaya hun to sara qusur us ka tha
jo us ke waste mujh se KHafa raha ta-umr
chhupa hua koi mujh mein zarur us ka tha
usi ne baKHshi thi mujh ko junun ki sarshaari
ki raqs main ne kiya tha surur us ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.