har ek jism pe bas ek hi se gahne lage
har ek jism pe bas ek hī se gahne lage
hameñ to log tumhārā hī ruup pahne lage
bas ek lau sī nazar aa.ī thī phir us ke ba.ad
bujhe charāġh siyah pāniyoñ pe bahne lage
use bhī hādisa kahiye ki ḳhushk dariyā par
paḌī jo dhuup to patthar pighal ke bahne lage
rutoñ ne karvaTeñ badlīñ to ham ne bhī ik baar
phir apne ghar ko sajāyā aur us meñ rahne lage
na jaane kyuuñ mire ahbāb mere baare meñ
jo baat aam thī sargoshiyoñ meñ kahne lage
jo qatra qatra piyā ham ne zindagī kā zahr
to 'rind' ban ke har ik dil kā dard bahne lage
har ek jism pe bas ek hi se gahne lage
hamein to log tumhaara hi rup pahne lage
bas ek lau si nazar aai thi phir us ke baad
bujhe charagh siyah paniyon pe bahne lage
use bhi hadisa kahiye ki KHushk dariya par
paDi jo dhup to patthar pighal ke bahne lage
ruton ne karwaTen badlin to hum ne bhi ek bar
phir apne ghar ko sajaya aur us mein rahne lage
na jaane kyun mere ahbab mere bare mein
jo baat aam thi sargoshiyon mein kahne lage
jo qatra qatra piya hum ne zindagi ka zahr
to 'rind' ban ke har ek dil ka dard bahne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.