har ek KHwab mein harf-o-bayan mein rahta hai
har ek KHwab mein harf-o-bayan mein rahta hai
Najma Shaheen Khosa
MORE BYNajma Shaheen Khosa
har ek ḳhvāb meñ harf-o-bayāñ meñ rahtā hai
vo ek shaḳhs jo dil ke makāñ meñ rahtā hai
na dil nikaltā hai us kā na shaam hotī hai
ab is tarah se bhī koī jahāñ meñ rahtā hai
yaqīn hai ki vo mujh par yaqīn rakhtā hai
gumān hai to vo ab tak gumāñ meñ rahtā hai
maiñ is tarah se huuñ āzād apnī duniyā meñ
ki jaise koī parind āshiyāñ meñ rahtā hai
rakhā huā hai hifāzat ke saath use dil meñ
maiñ be-amān huuñ vo to amaañ meñ rahtā hai
har ek KHwab mein harf-o-bayan mein rahta hai
wo ek shaKHs jo dil ke makan mein rahta hai
na dil nikalta hai us ka na sham hoti hai
ab is tarah se bhi koi jahan mein rahta hai
yaqin hai ki wo mujh par yaqin rakhta hai
guman hai to wo ab tak guman mein rahta hai
main is tarah se hun aazad apni duniya mein
ki jaise koi parind aashiyan mein rahta hai
rakha hua hai hifazat ke sath use dil mein
main be-aman hun wo to aman mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.