har ek ko har martaba hasil nahin hota
har ek ko har martaba hāsil nahīñ hotā
ā.īna sikandar ke muqābil nahīñ hotā
be-lutf hai vo kaam musībat nahīñ jis meñ
be-qadr hai vo uqda jo mushkil nahīñ hotā
tum vasl meñ dīvāngī-e-shauq se Darnā
maiñ kashmakash-e-nāz se be-dil nahīñ hotā
kis kaam kā ai qais tirā chāk-e-garebāñ
lailā kā agar parda-e-mahmil nahīñ hotā
maiñ ḳhirman-e-ummīd huuñ tū barq-e-ġhazab hai
tujh se ba-juz afsos ke hāsil nahīñ hotā
kyā zulm hai be-parda use ġhair ne dekhā
kyuuñ parda mirī aañkh kā haa.il nahīñ hotā
naale se na kyuuñ dard-e-jigar aur bhī baḌhtā
dashne se sivā zaḳhm ke hāsil nahīñ hotā
huuñ misl-e-habāb aur kahīñ qatra huuñ kahīñ mauj
maiñ zauq-e-fanā se kabhī ġhāfil nahīñ hotā
kahte haiñ mire zaḳhm ye hañs hañs ke maza meñ
aisā namakīñ ḳhanda-e-qātil nahīñ hotā
haañ ġhair bhī kyā da.avā-e-ulfat meñ hai jhūTā
kahte ho kisī par koī maa.il nahīñ hotā
khoyā tumheñ 'ushshāq kī be-hauslagī ne
mahshar meñ tumhārā koī saa.il nahīñ hotā
jaada pe chale jaate haiñ jo raast qadam haiñ
ye ḳhizr judā tā-sar-e-manzil nahīñ hotā
andāza-e-himmat se koī shai nahīñ baḌhtī
yā'nī ḳhat-e-sāġhar ḳhat-e-sāhil nahīñ hotā
har ḳhāl-e-siyah dāġh-e-jigar ban nahīñ saktā
har qatra-e-ḳhūnāb kabhī dil nahīñ hotā
tujh ko hī magar aag lagānī nahīñ aatī
kyā tuur se achchhā bhī koī dil nahīñ hotā
duniyā se 'vafā' sard yahāñ tak hai mirā dil
maiñ soz-e-jahannam kā bhī qaa.il nahīñ hotā
har ek ko har martaba hasil nahin hota
aaina sikandar ke muqabil nahin hota
be-lutf hai wo kaam musibat nahin jis mein
be-qadr hai wo uqda jo mushkil nahin hota
tum wasl mein diwangi-e-shauq se Darna
main kashmakash-e-naz se be-dil nahin hota
kis kaam ka ai qais tera chaak-e-gareban
laila ka agar parda-e-mahmil nahin hota
main KHirman-e-ummid hun tu barq-e-ghazab hai
tujh se ba-juz afsos ke hasil nahin hota
kya zulm hai be-parda use ghair ne dekha
kyun parda meri aankh ka hail nahin hota
nale se na kyun dard-e-jigar aur bhi baDhta
dashne se siwa zaKHm ke hasil nahin hota
hun misl-e-habab aur kahin qatra hun kahin mauj
main zauq-e-fana se kabhi ghafil nahin hota
kahte hain mere zaKHm ye hans hans ke maza mein
aisa namakin KHanda-e-qatil nahin hota
han ghair bhi kya dawa-e-ulfat mein hai jhuTa
kahte ho kisi par koi mail nahin hota
khoya tumhein 'ushshaq ki be-hauslagi ne
mahshar mein tumhaara koi sail nahin hota
jada pe chale jate hain jo rast qadam hain
ye KHizr juda ta-sar-e-manzil nahin hota
andaza-e-himmat se koi shai nahin baDhti
ya'ni KHat-e-saghar KHat-e-sahil nahin hota
har KHal-e-siyah dagh-e-jigar ban nahin sakta
har qatra-e-KHunab kabhi dil nahin hota
tujh ko hi magar aag lagani nahin aati
kya tur se achchha bhi koi dil nahin hota
duniya se 'wafa' sard yahan tak hai mera dil
main soz-e-jahannam ka bhi qail nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.