har ek lafz hai zinda alamaton se teri
har ek lafz hai zinda alāmatoñ se tirī
mirī ġhazal kī ye qāmat nazākatoñ se tirī
tire baġhair to be-samt thī masāfat-e-umr
mirā safar huā āsāñ rafāqatoñ se tirī
ab is meñ terī mirī ḳhāmushī hī behtar hai
ki baat phail ga.ī hai vazāhatoñ se tirī
mire rafīq mire is qadar ḳhilāf na the
ye iḳhtilāf baḌhā hai himāyatoñ se tirī
tirī talab ke havāle se zindagī thī mirī
mirā javāz huā ḳhatm qurbatoñ se tirī
maiñ ḳhār-o-ḳhas kā gharauñdā tū sail-e-shauq 'nadīm'
maiñ TūT-phūT gayā huuñ mohabbatoñ se tirī
har ek lafz hai zinda alamaton se teri
meri ghazal ki ye qamat nazakaton se teri
tere baghair to be-samt thi masafat-e-umr
mera safar hua aasan rafaqaton se teri
ab is mein teri meri KHamushi hi behtar hai
ki baat phail gai hai wazahaton se teri
mere rafiq mere is qadar KHilaf na the
ye iKHtilaf baDha hai himayaton se teri
teri talab ke hawale se zindagi thi meri
mera jawaz hua KHatm qurbaton se teri
main KHar-o-KHas ka gharaunda tu sail-e-shauq 'nadim'
main TuT-phuT gaya hun mohabbaton se teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.