har ek lamha-e-maujud intizar mein tha
har ek lamha-e-maujūd intizār meñ thā
maiñ agle pal kī tarah vaqt ke ġhubār meñ thā
har ik ufuq pe musalsal tulūa hotā huā
maiñ āftāb ke mānind rahguzār meñ thā
ḳhud apne aap meñ uljhā huā thā merā vajūd
maiñ chaak chaak garebāñ ke taar taar meñ thā
jo us kī ḳhush-suḳhanī tak rasā.ī chāhtī thī
mirā vajūd bhī lafzoñ kī is qatār meñ thā
bil-āḳhir aa hī ga.ī iḳhtilāf kī saa.at
maiñ jāntā huuñ tū is pal ke intizār meñ thā
har ek lamha-e-maujud intizar mein tha
main agle pal ki tarah waqt ke ghubar mein tha
har ek ufuq pe musalsal tulua hota hua
main aaftab ke manind rahguzar mein tha
KHud apne aap mein uljha hua tha mera wajud
main chaak chaak gareban ke tar tar mein tha
jo us ki KHush-suKHani tak rasai chahti thi
mera wajud bhi lafzon ki is qatar mein tha
bil-aKHir aa hi gai iKHtilaf ki saat
main jaanta hun tu is pal ke intizar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.