har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisa khel nahin
har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisā khel nahīñ
jalve kā nazāra khel bhī hai jalve kā nazārā khel nahīñ
ik umr guloñ ke saa.e meñ guzrī to samajh meñ baat aa.ī
gulshan kī fazā meñ kāñToñ se dāman kā bachānā khel nahīñ
tū ishq ke ġham ko ai vaa.iz apnā ġham-e-isyāñ samjhā hai
ye terī samajh se bāhar hai is ġham kā samajhnā khel nahīñ
ye kaam baḌī jur.at kā hai ye baat baḌī himmat kī hai
ḳhud apnā nasheman apne hī hāthoñ se jalānā khel nahīñ
kuchh dil hī hamārā vāqif hai jo ham pe musībat paḌtī hai
māhaul-e-muḳhālif meñ rah kar haq apnā jatānā khel nahīñ
jis vaqt nigāheñ un se milīñ kuchh kahte sunte ban na paḌī
ehsās-e-tamannā āsāñ hai tafsīr-e-tamanna khel nahīñ
ai dost hamārī tarah zarā himmat kī zarūrat hotī hai
maiḳhāne meñ baḌh kar saaqī se nazroñ kā milānā khel nahīñ
duniyā pe kabhī ham hañste the ab ham pe ye duniyā hañstī hai
auroñ kā tamāsha khel sahī ḳhud apnā tamāsha khel nahīñ
kuchh sar kī yahāñ taḳhsīs nahīñ hai dil kī zarūrat 'sājid' ko
sajde kī to manzil aur hai kuchh sajde kā irāda khel nahīñ
har ek nazar ho husn-e-nazar ai dost ye aisa khel nahin
jalwe ka nazara khel bhi hai jalwe ka nazara khel nahin
ek umr gulon ke sae mein guzri to samajh mein baat aai
gulshan ki faza mein kanTon se daman ka bachana khel nahin
tu ishq ke gham ko ai waiz apna gham-e-isyan samjha hai
ye teri samajh se bahar hai is gham ka samajhna khel nahin
ye kaam baDi jurat ka hai ye baat baDi himmat ki hai
KHud apna nasheman apne hi hathon se jalana khel nahin
kuchh dil hi hamara waqif hai jo hum pe musibat paDti hai
mahaul-e-muKHalif mein rah kar haq apna jatana khel nahin
jis waqt nigahen un se milin kuchh kahte sunte ban na paDi
ehsas-e-tamanna aasan hai tafsir-e-tamanna khel nahin
ai dost hamari tarah zara himmat ki zarurat hoti hai
maiKHane mein baDh kar saqi se nazron ka milana khel nahin
duniya pe kabhi hum hanste the ab hum pe ye duniya hansti hai
auron ka tamasha khel sahi KHud apna tamasha khel nahin
kuchh sar ki yahan taKHsis nahin hai dil ki zarurat 'sajid' ko
sajde ki to manzil aur hai kuchh sajde ka irada khel nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.