har ek nazar mein moatabar hai
har ek nazar meñ mo'atabar hai
vo shaḳhs jo aaj bhī idhar hai
ham se hī jahāñ meñ raunaqeñ haiñ
hai kaun yahāñ jo be-hunar hai
chāhā thā bahut nibāh ham ne
is baat kī kyā use ḳhabar hai
kyā makr-o-fareb se Dareñ ham
haq baat hamārī ham-safar hai
har raah pe rāhzan haiñ 'manzar'
ab kaun yahāñ pe rāhbar hai
har ek nazar mein mo'atabar hai
wo shaKHs jo aaj bhi idhar hai
hum se hi jahan mein raunaqen hain
hai kaun yahan jo be-hunar hai
chaha tha bahut nibah hum ne
is baat ki kya use KHabar hai
kya makr-o-fareb se Daren hum
haq baat hamari ham-safar hai
har rah pe rahzan hain 'manzar'
ab kaun yahan pe rahbar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.