har ek rang har ek KHwab ke hisar mein tu
har ek rang har ik ḳhvāb ke hisār meñ tū
ki āñsuoñ kī tarah chashm-e-intizār meñ tū
udaas raakh se manzar ke ek shahr meñ maiñ
na.e jahān kī ik sub.h-e-zar-nigār maiñ tū
meñ itnī duur ufuq se pare bhī dekh aayā
milā to jism pe bikhre hue ġhubār meñ tū
meñ zaḳhm zaḳhm ḳhizāoñ ke biich zinda huuñ
numū-pazīr bahāroñ ke rañg-zār meñ tū
ki terā naam to jalte diyoñ kī lau meñ hai
tū bāñsurī kī har ik taan meñ pukār meñ tū
ye rahguzar to tamāzat ke shahr ko jaa.e
kahīñ jale na bahishtoñ ke e'tibār meñ tū
mujhe bachā le ta'āqub se zard mausam ke
mujhe chhupā le panāhoñ ke sabz ġhaar meñ tū
har ek rang har ek KHwab ke hisar mein tu
ki aansuon ki tarah chashm-e-intizar mein tu
udas rakh se manzar ke ek shahr mein main
nae jahan ki ek subh-e-zar-nigar main tu
mein itni dur ufuq se pare bhi dekh aaya
mila to jism pe bikhre hue ghubar mein tu
mein zaKHm zaKHm KHizaon ke bich zinda hun
numu-pazir bahaaron ke rang-zar mein tu
ki tera nam to jalte diyon ki lau mein hai
tu bansuri ki har ek tan mein pukar mein tu
ye rahguzar to tamazat ke shahr ko jae
kahin jale na bahishton ke e'tibar mein tu
mujhe bacha le ta'aqub se zard mausam ke
mujhe chhupa le panahon ke sabz ghaar mein tu
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 239)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.