har ek sans hi hum par haram ho gai hai
Interesting Fact
Dedicated to Liyaqat Ali Aasim
har ek saañs hī ham par harām ho ga.ī hai
ye zindagī to koī intiqām ho ga.ī hai
jab aa.ī maut to rāhat kī saañs lī ham ne
ki saañs lene kī zahmat tamām ho ga.ī hai
kisī se guftugū karne ko jī nahīñ kartā
mirī ḳhamoshī hī merā kalām ho ga.ī hai
parinde hote to Daalī pe lauT bhī jaate
hameñ na yaad dilāo ki shaam ho ga.ī hai
idhar to roz ke marne se hī nahīñ fursat
udhar vo zindagī fursat kā kaam ho ga.ī hai
hazāroñ āñsuoñ ke ba.ad ik zarā sī hañsī
kisī ġharīb kī mehnat kā daam ho ga.ī hai
banā na paa.ī kabhī ādatoñ ko apnā ġhulām
ye zindagī to ḳhud un kī ġhulām ho ga.ī hai
purānī yādoñ ne jab bhī lagā liyā pherā
is ujḌe dil meñ baḌī dhūm-dhām ho ga.ī hai
har ek sans hi hum par haram ho gai hai
ye zindagi to koi intiqam ho gai hai
jab aai maut to rahat ki sans li hum ne
ki sans lene ki zahmat tamam ho gai hai
kisi se guftugu karne ko ji nahin karta
meri KHamoshi hi mera kalam ho gai hai
parinde hote to Dali pe lauT bhi jate
hamein na yaad dilao ki sham ho gai hai
idhar to roz ke marne se hi nahin fursat
udhar wo zindagi fursat ka kaam ho gai hai
hazaron aansuon ke baad ek zara si hansi
kisi gharib ki mehnat ka dam ho gai hai
bana na pai kabhi aadaton ko apna ghulam
ye zindagi to KHud un ki ghulam ho gai hai
purani yaadon ne jab bhi laga liya phera
is ujDe dil mein baDi dhum-dham ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.