har ek samt hai ek jit haar ka mausam
har ek samt hai ik jiit haar kā mausam
ab ek ḳhvāb sā lagtā hai pyaar kā mausam
isī ko gardish-e-lail-o-nahār kahte haiñ
kabhī ḳhizāñ hai kabhī hai bahār kā mausam
chaman meñ dhuum machī hai ki fasl-e-gul aa.ī
yahī hai dāman-e-sad-tār-tār kā mausam
ab us ko yaad dilāne kā fā.eda hī nahīñ
vo bhuul bhī chukā qaul-o-qarār kā mausam
har ik shikast pe josh-e-amal meñ shiddat lā
miTegā dīda-e-ḳhūnāba-bār kā mausam
na aane de kabhī pā-e-sabāt meñ laġhzish
sadā milā hai kise iḳhtiyār kā mausam
rihā.ī miltī hai yaaro na jaan jaatī hai
azāb-e-jān hai ye intizār kā mausam
darāz kitnī hī shab ho guzar hī jā.egī
palaT ke aa.egā dīdār-e-yār kā mausam
jo lauh-e-dil pe lagāne chale ho daaġh pe daaġh
kabhī to aa.egā un ke shumār kā mausam
hai ab ye haal urūs-ul-bilād kā 'az.har'
Thahar gayā hai vahīñ gīr-o-dār kā mausam
har ek samt hai ek jit haar ka mausam
ab ek KHwab sa lagta hai pyar ka mausam
isi ko gardish-e-lail-o-nahaar kahte hain
kabhi KHizan hai kabhi hai bahaar ka mausam
chaman mein dhum machi hai ki fasl-e-gul aai
yahi hai daman-e-sad-tar-tar ka mausam
ab us ko yaad dilane ka faeda hi nahin
wo bhul bhi chuka qaul-o-qarar ka mausam
har ek shikast pe josh-e-amal mein shiddat la
miTega dida-e-KHunaba-bar ka mausam
na aane de kabhi pa-e-sabaat mein laghzish
sada mila hai kise iKHtiyar ka mausam
rihai milti hai yaro na jaan jati hai
azab-e-jaan hai ye intizar ka mausam
daraaz kitni hi shab ho guzar hi jaegi
palaT ke aaega didar-e-yar ka mausam
jo lauh-e-dil pe lagane chale ho dagh pe dagh
kabhi to aaega un ke shumar ka mausam
hai ab ye haal urus-ul-bilad ka 'azhar'
Thahar gaya hai wahin gir-o-dar ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.