har ek shab ke guzarne pe muskuraati hai
har ek shab ke guzarne pe muskurātī hai
ye zindagī yuuñ mujhe hausla dilātī hai
tumhāre hāthoñ ne thāmā hai jab se haath mirā
har ek samt se ThanDī havā hī aatī hai
jidhar bhī jā.ūñ kisī samt bhī chalūñ chāhe
hai jo bhī raah mujhe tum se hī milātī hai
suneñge tujh ko bhī gar mil ga.ī hameñ fursat
tū itnā shor kyuuñ ai zindagī machātī hai
zamāne bhar meñ mire aib uchhālne vaale
tirī ye baat mujhe har ghaḌī rulātī hai
agarche der huī manziloñ ko paane meñ
'hinā' har ek qadam azm se uThātī hai
har ek shab ke guzarne pe muskuraati hai
ye zindagi yun mujhe hausla dilati hai
tumhaare hathon ne thama hai jab se hath mera
har ek samt se ThanDi hawa hi aati hai
jidhar bhi jaun kisi samt bhi chalun chahe
hai jo bhi rah mujhe tum se hi milati hai
sunenge tujh ko bhi gar mil gai hamein fursat
tu itna shor kyun ai zindagi machati hai
zamane bhar mein mere aib uchhaalne wale
teri ye baat mujhe har ghaDi rulati hai
agarche der hui manzilon ko pane mein
'hina' har ek qadam azm se uThati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.