har ek shai hai KHayal jaisi
har ek shai hai ḳhayāl jaisī
yaqīñ kī sūrat muhāl jaisī
haiñ dekhne meñ sapāT chehre
diloñ kī dhaḌkan kamāl jaisī
kisī ko doge to kuchh milegā
haiñ chāhateñ bhī manāl jaisī
bichhaḌ ga.e to pata chalā hai
ki thī mohabbat visāl jaisī
ḳhizāñ se us ko milā hai hadiya
shajar jo oḌhe hai shaal jaisī
dikhā rahā hai har ek apnī
ki jis ne sīkhī hai chaal jaisī
ki le ke Dūbegī tujh ko 'rāshid'
tirī mohabbat ubaal jaisī
har ek shai hai KHayal jaisi
yaqin ki surat muhaal jaisi
hain dekhne mein sapaT chehre
dilon ki dhaDkan kamal jaisi
kisi ko doge to kuchh milega
hain chahaten bhi manal jaisi
bichhaD gae to pata chala hai
ki thi mohabbat visal jaisi
KHizan se us ko mila hai hadiya
shajar jo oDhe hai shaal jaisi
dikha raha hai har ek apni
ki jis ne sikhi hai chaal jaisi
ki le ke Dubegi tujh ko 'rashid'
teri mohabbat ubaal jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.