har ek shai pe hai partaw-fagan bahaar ka rang
har ek shai pe hai partav-fagan bahār kā rang
guloñ kā husn judā hai alag hai ḳhaar kā rang
lahū meñ jaise machalte hoñ barq-pāre se
ye intizār kā aalam ye intizār kā rang
kuchh aaj dil kī ḳharābī guzar ga.ī had se
uḌā uḌā sā hai har ek ġham-gusār kā rang
kabhī to sun mirī betābi-e-firāq kā haal
kabhī to dekh mirī chashm-e-ashk-bār kā rang
tire karam se bhī niyyat na ishq kī badlī
vahī hai fitrat-e-ma.asūm-o-sāda-kār kā rang
bulāo ahl-e-junūñ ko kisī bulandī se
bigaḌ chalā hai bahut bazm-e-rozgār kā rang
'adīb' kāvish-e-ġham kaam kar ga.ī shāyad
ab un ke ruḳh se jhalakne lagā hai pyaar kā rang
har ek shai pe hai partaw-fagan bahaar ka rang
gulon ka husn juda hai alag hai KHar ka rang
lahu mein jaise machalte hon barq-pare se
ye intizar ka aalam ye intizar ka rang
kuchh aaj dil ki KHarabi guzar gai had se
uDa uDa sa hai har ek gham-gusar ka rang
kabhi to sun meri betabi-e-firaq ka haal
kabhi to dekh meri chashm-e-ashk-bar ka rang
tere karam se bhi niyyat na ishq ki badli
wahi hai fitrat-e-masum-o-sada-kar ka rang
bulao ahl-e-junun ko kisi bulandi se
bigaD chala hai bahut bazm-e-rozgar ka rang
'adib' kawish-e-gham kaam kar gai shayad
ab un ke ruKH se jhalakne laga hai pyar ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.