har ek shaKHs jahan intiqam le raha tha
har ek shaḳhs jahāñ intiqām le rahā thā
vahāñ maiñ sabr-o-tahammul se kaam le rahā thā
asīr-e-gosha-e-gumnāmī jānñe vaalo
maiñ apnī zaat meñ lutf-e-qayām le rahā thā
divāngī kā sabab pūchhā jā rahā thā mirī
maiñ chup thā aur hujūm us kā naam le rahā thā
vo jin kā soch ke shahzāde ḳhauf khā rahe the
vo faisle to tumhārā ġhulām le rahā thā
har ek shaKHs jahan intiqam le raha tha
wahan main sabr-o-tahammul se kaam le raha tha
asir-e-gosha-e-gumnami jaanne walo
main apni zat mein lutf-e-qayam le raha tha
diwangi ka sabab puchha ja raha tha meri
main chup tha aur hujum us ka nam le raha tha
wo jin ka soch ke shahzade KHauf kha rahe the
wo faisle to tumhaara ghulam le raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.