har ek shaKHs ka chehra udas lagta hai
har ek shaḳhs kā chehra udaas lagtā hai
ye shahr merā tabī.at-shanās lagtā hai
khilā ho baaġh meñ jaise koī safed gulāb
vo saada rañg nigāhoñ ko ḳhaas lagtā hai
supurdagī kā nasha bhī ajiib nashsha hai
vo sar se paañv talak iltimās lagtā hai
havā meñ ḳhushbū-e-mausam kahīñ sivā to nahīñ
vo paas hai ye ba.īd-az-qayās lagtā hai
har ek shaKHs ka chehra udas lagta hai
ye shahr mera tabiat-shanas lagta hai
khila ho bagh mein jaise koi safed gulab
wo sada rang nigahon ko KHas lagta hai
supurdagi ka nasha bhi ajib nashsha hai
wo sar se panw talak iltimas lagta hai
hawa mein KHushbu-e-mausam kahin siwa to nahin
wo pas hai ye baid-az-qayas lagta hai
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.