har ek shaKHs ke wijdan se KHitab kare
har ek shaḳhs ke vijdān se ḳhitāb kare
na.e libās kī ḳhvāhish nayā badan DhūñDe
samundaroñ meñ utarte chale ga.e lekin
kasāfatoñ ke jarāsīm saath saath rahe
na jaane kaun ġham-e-kā.enāt se chhup kar
mire vajūd meñ baiThā hai kunDalī maare
shu.ūrī taur par irfān-e-zāt kī ḳhātir
kabhī jo sar ko uThāyā to TūT-phūT ga.e
ta.alluqāt kī zanjīreñ TūTtī hī nahīñ
hameñ pukār rahe haiñ ḳhalā ke bāshinde
har ek shaKHs ke wijdan se KHitab kare
nae libas ki KHwahish naya badan DhunDe
samundaron mein utarte chale gae lekin
kasafaton ke jarasim sath sath rahe
na jaane kaun gham-e-kaenat se chhup kar
mere wajud mein baiTha hai kunDali mare
shuuri taur par irfan-e-zat ki KHatir
kabhi jo sar ko uThaya to TuT-phuT gae
talluqat ki zanjiren TuTti hi nahin
hamein pukar rahe hain KHala ke bashinde
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.