har ek shaKHs ko dhoke mein Dal rakkha hai
har ek shaḳhs ko dhoke meñ Daal rakkhā hai
tumhāre lahje meñ kitnā kamāl rakkhā hai
tū hī batā de ki kitne zalīl hoñge ham
hamāre hisse meñ kab tak zavāl rakkhā hai
judā.iyāñ bhī hameñ duur kar nahīñ saktīñ
chhupā ke hijr meñ tum ne visāl rakkhā hai
tumhāre hijr meñ TuuTe magar nahīñ bikhre
tumhārī yaad ne ab tak sambhāl rakkhā hai
bichhaḌ ke bhī nahīñ bhūlegā vo hameñ 'kashfī'
isī ḳhayāl se dil ko sambhāl rakkhā hai
har ek shaKHs ko dhoke mein Dal rakkha hai
tumhaare lahje mein kitna kamal rakkha hai
tu hi bata de ki kitne zalil honge hum
hamare hisse mein kab tak zawal rakkha hai
judaiyan bhi hamein dur kar nahin saktin
chhupa ke hijr mein tum ne visal rakkha hai
tumhaare hijr mein TuTe magar nahin bikhre
tumhaari yaad ne ab tak sambhaal rakkha hai
bichhaD ke bhi nahin bhulega wo hamein 'kashfi'
isi KHayal se dil ko sambhaal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.