har ek shaKHs se qaem dua salam rahe
har ek shaḳhs se qaa.em duā salām rahe
jahāñ meñ faiz-e-mohabbat hamesha aam rahe
yahāñ jo aadmī apnā maqām pahchāne
to ḳhud hī us kī tamanna meñ har maqām rahe
kisī ġharīb se pūchho ki zindagī kyā hai
na sub.h sub.h ke jaisī na shaam shaam rahe
judā judā haiñ yahāñ sab kā intiḳhāb-e-nazar
aziiz saaqī kisī ko kisī ko jaam rahe
hudūd-e-dair-o-haram se nikal ga.e aage
jo log tere tajassus meñ tez gaam rahe
kisī ke sāmne jalva-numā.ī hai us kī
'suman' kisī ko bas itnā ki ham-kalām rahe
har ek shaKHs se qaem dua salam rahe
jahan mein faiz-e-mohabbat hamesha aam rahe
yahan jo aadmi apna maqam pahchane
to KHud hi us ki tamanna mein har maqam rahe
kisi gharib se puchho ki zindagi kya hai
na subh subh ke jaisi na sham sham rahe
juda juda hain yahan sab ka intiKHab-e-nazar
aziz saqi kisi ko kisi ko jam rahe
hudud-e-dair-o-haram se nikal gae aage
jo log tere tajassus mein tez gam rahe
kisi ke samne jalwa-numai hai us ki
'suman' kisi ko bas itna ki ham-kalam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.