har faza aur har ek samt nazar rakhta hun
har fazā aur har ik samt nazar rakhtā huuñ
maiñ huuñ shā.ir maiñ do-ālam kī ḳhabar rakhtā huuñ
ye na samjho ki hai mujh ko kisī manzil kī talāsh
ḳhud maiñ manzil huuñ magar zauq-e-safar rakhtā huuñ
rahrav-e-rāh-e-mohabbat kī hai manzil hī judā
maiñ zamāne se alag rāhguzar rakhtā huuñ
sher meñ ḳhūn-e-jigar se mire rangīnī hai
shā.erī ke liye maiñ ḳhūn-e-jigar rakhtā huuñ
ik nazar se mirī TuuTe hue dil juḌte haiñ
maiñ masīhā huuñ mohabbat kī nazar rakhtā huuñ
ḳhud-baḳhud dil se mire sher Tapak jaate haiñ
kab ġhazal kahne kā varna maiñ hunar rakhtā huuñ
har-nafas jalva-e-sad-rang kā aalam hai 'payām'
jalva-e-husn ba-unvān-e-digar rakhtā huuñ
har faza aur har ek samt nazar rakhta hun
main hun shair main do-alam ki KHabar rakhta hun
ye na samjho ki hai mujh ko kisi manzil ki talash
KHud main manzil hun magar zauq-e-safar rakhta hun
rahraw-e-rah-e-mohabbat ki hai manzil hi juda
main zamane se alag rahguzar rakhta hun
sher mein KHun-e-jigar se mere rangini hai
shaeri ke liye main KHun-e-jigar rakhta hun
ek nazar se meri TuTe hue dil juDte hain
main masiha hun mohabbat ki nazar rakhta hun
KHud-baKHud dil se mere sher Tapak jate hain
kab ghazal kahne ka warna main hunar rakhta hun
har-nafas jalwa-e-sad-rang ka aalam hai 'payam'
jalwa-e-husn ba-unwan-e-digar rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.