har fitna-o-tafriq se bezar hain hum log
har fitna-o-tafrīq se bezār haiñ ham log
saa.il haiñ mohabbat ke talabgār haiñ ham log
hindū na musalmān na īsā.ī na sikh haiñ
is mulk kī tahzīb ke mīnār haiñ ham log
ta.amīr-e-gulistāñ meñ lahū sab kā hai shāmil
hai faḳhr ki is mulk ke me.amār haiñ ham log
tafrīq-o-ta.assub ke jo haamī haiñ abhī tak
ab un ke liye barsar-e-paikār haiñ ham log
jo baat kahī jab bhī sar-e-dār kahī hai
ġhaddār nahīñ sāhib-e-kirdār haiñ ham log
taqsīm hameñ karne kī jur.at bhī na karnā
ai fitna-garo azm kī dīvār haiñ ham log
ham ne hī jinheñ rasm-e-vafādārī sikhā.ī
ab vo hameñ kahne lage ġhaddār haiñ ham log
maz.hab na kisī zaat na sarhad se hai matlab
mazlūm koī bhī ho madad-gār haiñ ham log
yak-jehtī kī tāqat pe 'tarab' naaz hai ham ko
vaqt aane do dikhlā.eñge tayyār haiñ ham log
har fitna-o-tafriq se bezar hain hum log
sail hain mohabbat ke talabgar hain hum log
hindu na musalman na isai na sikh hain
is mulk ki tahzib ke minar hain hum log
tamir-e-gulistan mein lahu sab ka hai shamil
hai faKHr ki is mulk ke meamar hain hum log
tafriq-o-tassub ke jo hami hain abhi tak
ab un ke liye barsar-e-paikar hain hum log
jo baat kahi jab bhi sar-e-dar kahi hai
ghaddar nahin sahib-e-kirdar hain hum log
taqsim hamein karne ki jurat bhi na karna
ai fitna-garo azm ki diwar hain hum log
hum ne hi jinhen rasm-e-wafadari sikhai
ab wo hamein kahne lage ghaddar hain hum log
mazhab na kisi zat na sarhad se hai matlab
mazlum koi bhi ho madad-gar hain hum log
yak-jehti ki taqat pe 'tarab' naz hai hum ko
waqt aane do dikhlaenge tayyar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.