har-gam hadse hain muqaddar bane hue
har-gām hādse haiñ muqaddar bane hue
rahzan dikhā.ī dete haiñ rahbar bane hue
vo daur-e-ḳhush-gavār ḳhudā jaane kyā huā
mandir the masjidoñ ke barābar bane hue
kyā āshiyāñ kahāñ kā chaman kaise rang-o-bū
muddat huī qafas ko mirā ghar bane hue
ham vo nahīñ jo rāz-e-ġham-e-dil ayaañ kareñ
zindāñ haiñ ham se log samundar bane hue
ai muflisī batā to sahī vo kidhar ga.e
kuchh log the ḳhulūs ke paikar bane hue
bhejā hai us ne ḳhat bhī to alfāz kī jagah
kāġhaz pe tiir haiñ kahīñ nashtar bane hue
shāyad nahīñ haiñ ab kahīñ gauhar-shanās log
hiire paḌe haiñ raah meñ patthar bane hue
qaa.em hai bād-e-marg bhī bāda-kashī mirī
rakkhe haiñ merī ḳhaak ke sāġhar bane hue
yāroñ ko 'ehtishām' banā kar hasīñ kitāb
baiThe haiñ aap dard kā daftar bane hue
har-gam hadse hain muqaddar bane hue
rahzan dikhai dete hain rahbar bane hue
wo daur-e-KHush-gawar KHuda jaane kya hua
mandir the masjidon ke barabar bane hue
kya aashiyan kahan ka chaman kaise rang-o-bu
muddat hui qafas ko mera ghar bane hue
hum wo nahin jo raaz-e-gham-e-dil ayan karen
zindan hain hum se log samundar bane hue
ai muflisi bata to sahi wo kidhar gae
kuchh log the KHulus ke paikar bane hue
bheja hai us ne KHat bhi to alfaz ki jagah
kaghaz pe tir hain kahin nashtar bane hue
shayad nahin hain ab kahin gauhar-shanas log
hire paDe hain rah mein patthar bane hue
qaem hai baad-e-marg bhi baada-kashi meri
rakkhe hain meri KHak ke saghar bane hue
yaron ko 'ehtisham' bana kar hasin kitab
baiThe hain aap dard ka daftar bane hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.