har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein
har-gām par the shams-o-qamar us dayār meñ
kitne hasīñ the shām-o-sahar us dayār meñ
vo baaġh vo bahār vo dariyā vo sabza-zār
nashshoñ se kheltī thī nazar us dayār meñ
āsān thā safar ki har ik rahguzār par
milte the sāya-dār shajar us dayār meñ
har-chand thī vahāñ bhī ḳhizāñ kī udaas dhuup
dil par nahīñ thā ġham kā asar us dayār meñ
mahsūs ho rahā thā sitāre haiñ gard-e-rāh
ham the hazār ḳhāk-basar us dayār meñ
'jālib' yahāñ to baat garebāñ tak aa ga.ī
rakhte the sirf chāk-jigar us dayār meñ
har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein
kitne hasin the sham-o-sahar us dayar mein
wo bagh wo bahaar wo dariya wo sabza-zar
nashshon se khelti thi nazar us dayar mein
aasan tha safar ki har ek rahguzar par
milte the saya-dar shajar us dayar mein
har-chand thi wahan bhi KHizan ki udas dhup
dil par nahin tha gham ka asar us dayar mein
mahsus ho raha tha sitare hain gard-e-rah
hum the hazar KHak-basar us dayar mein
'jalib' yahan to baat gareban tak aa gai
rakhte the sirf chaak-jigar us dayar mein
- Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 33)
- Author : Habib Jalib
- Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.