har gam pe haalat se ek naqsh bana hai
har gaam pe hālāt se ik naqsh banā hai
ehsās mirā chāroñ taraf phail gayā hai
maiñ bhī huuñ tahī-dast ḳharīdāroñ kī saf meñ
bastī meñ mirī misr kā bāzār lagā hai
chāhegā bhalā kaun ho dīvāroñ kā qaidī
taqdīr magar bair havāoñ se paḌā hai
barte hue alfāz mire sher na chhueñ
hālāt na.e haiñ mirā ehsās nayā hai
maujeñ mire paañv se dabī ret na le jaa.eñ
armān ke sāhil pe koī soch rahā hai
har moḌ pe maiñ ḳhud se milā haath pasāre
maiñ ne hī mirī soch pe har vaar kiyā hai
har gam pe haalat se ek naqsh bana hai
ehsas mera chaaron taraf phail gaya hai
main bhi hun tahi-dast KHaridaron ki saf mein
basti mein meri misr ka bazar laga hai
chahega bhala kaun ho diwaron ka qaidi
taqdir magar bair hawaon se paDa hai
barte hue alfaz mere sher na chhuen
haalat nae hain mera ehsas naya hai
maujen mere panw se dabi ret na le jaen
arman ke sahil pe koi soch raha hai
har moD pe main KHud se mila hath pasare
main ne hi meri soch pe har war kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.