har gam zindagi mein ajab sanehe hue
har gaam zindagī meñ 'ajab sānehe hue
apne parā.e jāñchne ke tajrabe hue
ik Diary purānī mire haath kyā lagī
yādoñ ke zard peḌ yakāyak hare hue
ai dil sañbhāl zabt ki pushte laraz uThe
āñkhoñ se bah na jaa.eñ ye dariyā ruke hue
āñkhoñ meñ dekh shahr-e-ḳhamoshāñ kā sā sukūt
palkoñ pe dekh ġham ke fasāne likhe hue
'bilqīs' ik charāġh sar-e-rāh kyā rakkhā
bastī ke har makān hī meñ tabsire hue
har gam zindagi mein 'ajab sanehe hue
apne parae jaanchne ke tajrabe hue
ek Diary purani mere hath kya lagi
yaadon ke zard peD yakayak hare hue
ai dil sanbhaal zabt ki pushte laraz uThe
aankhon se bah na jaen ye dariya ruke hue
aankhon mein dekh shahr-e-KHamoshan ka sa sukut
palkon pe dekh gham ke fasane likhe hue
'bilqis' ek charagh sar-e-rah kya rakkha
basti ke har makan hi mein tabsire hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.