har gham pe aaj-kal hai KHushi ka guman mujhe
har ġham pe āj-kal hai ḳhushī kā gumāñ mujhe
le aa.ī yād-e-yār kahāñ se kahāñ mujhe
manzūr zauq-e-dīd kā ho imtihāñ mujhe
ye taab ye majāl ye tāqat kahāñ mujhe
yārab qafas kī ḳhair ki dekhā jo ḳhvāb bhī
aayā hai bijliyoñ meñ nazar āshiyāñ mujhe
āzādī-e-ḳhayāl ke vo rañg ab kahāñ
thā ibtidā meñ kunj-e-qafas āshiyāñ mujhe
zauq-e-talab kā raaz yahī zindagī yahī
har kārvāñ hai gard-e-pas-e-kārvāñ mujhe
maiñ jān-e-rañg-o-bū huuñ maiñ ārā.ish-e-chaman
tū kyā samajh rahā hai mire bāġhbāñ mujhe
tevar nigāh-e-nāz ke kuchh din yahī jo haiñ
yārā-e-zabt-e-rāz 'jamālī' kahāñ mujhe
har gham pe aaj-kal hai KHushi ka guman mujhe
le aai yaad-e-yar kahan se kahan mujhe
manzur zauq-e-did ka ho imtihan mujhe
ye tab ye majal ye taqat kahan mujhe
yarab qafas ki KHair ki dekha jo KHwab bhi
aaya hai bijliyon mein nazar aashiyan mujhe
aazadi-e-KHayal ke wo rang ab kahan
tha ibtida mein kunj-e-qafas aashiyan mujhe
zauq-e-talab ka raaz yahi zindagi yahi
har karwan hai gard-e-pas-e-karwan mujhe
main jaan-e-rang-o-bu hun main aaraish-e-chaman
tu kya samajh raha hai mere baghban mujhe
tewar nigah-e-naz ke kuchh din yahi jo hain
yara-e-zabt-e-raaz 'jamali' kahan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.