har ghazal har sher apna istiara-ashna
har ġhazal har sher apnā isti.āra-āshnā
fasl-e-gul meñ jaise shāḳh-e-gul sharārā-āshnā
ḳhuun thūkā dil jalāyā naqd-e-jāñ qurbān kī
shahr-e-fan meñ maiñ rahā kitnā ḳhasārā-āshnā
kah gayā apnī nazar se an-kahe qisse bhī vo
bazm-e-harf-o-saut meñ jo thā ishārā-āshnā
apne TuuTe shahparoñ ke nauhagar to the bahut
dasht-e-fan meñ thā na koī sañg-e-ḳhārā-āshnā
umr bhar biphrī huī maujoñ se jo laḌtā rahā
vo samundar to azal se thā kinārā-āshnā
har ghazal har sher apna istiara-ashna
fasl-e-gul mein jaise shaKH-e-gul sharara-ashna
KHun thuka dil jalaya naqd-e-jaan qurban ki
shahr-e-fan mein main raha kitna KHasara-ashna
kah gaya apni nazar se an-kahe qisse bhi wo
bazm-e-harf-o-saut mein jo tha ishaara-ashna
apne TuTe shahparon ke nauhagar to the bahut
dasht-e-fan mein tha na koi sang-e-KHara-ashna
umr bhar biphri hui maujon se jo laDta raha
wo samundar to azal se tha kinara-ashna
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 271)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.