har ghazal KHwab ki surat mein Dhali lagti hai
har ġhazal ḳhvāb kī sūrat meñ Dhalī lagtī hai
tere ehsās meñ bhī jādūgarī lagtī hai
muddatoñ baad ye sāvan ko bhalā kyā sūjhī
merī āñkhoñ meñ to har roz jhaḌī lagtī hai
ishq meñ ho ga.ī dīvānoñ sī hālat merī
maut har-vaqt mire sar pe khaḌī lagtī hai
husn-e-ta.abīr mirī aañkh meñ utrā kaise
tū koī huur hai yā koī parī lagtī hai
dhaḌkaneñ raqs meñ zanjīr-zanī kartī haiñ
ab ki jazbāt meñ shorīda-sarī lagtī hai
bhar diyā maiñ ne taġhazzul meñ sabhī rangoñ ko
terī tasvīr nigāhoñ meñ basī lagtī hai
baj rahī hai koī pāzeb fazā meñ shāyad
chāñd tāroñ pe koī shoḳh chaḌhī lagtī hai
dil hai ik dasht kī mānind tumhārā 'ushba'
tabhī qismat meñ sadā tishna-labī lagtī hai
har ghazal KHwab ki surat mein Dhali lagti hai
tere ehsas mein bhi jadugari lagti hai
muddaton baad ye sawan ko bhala kya sujhi
meri aankhon mein to har roz jhaDi lagti hai
ishq mein ho gai diwanon si haalat meri
maut har-waqt mere sar pe khaDi lagti hai
husn-e-tabir meri aankh mein utra kaise
tu koi hur hai ya koi pari lagti hai
dhaDkanen raqs mein zanjir-zani karti hain
ab ki jazbaat mein shorida-sari lagti hai
bhar diya main ne taghazzul mein sabhi rangon ko
teri taswir nigahon mein basi lagti hai
baj rahi hai koi pazeb faza mein shayad
chand taron pe koi shoKH chaDhi lagti hai
dil hai ek dasht ki manind tumhaara 'ushba'
tabhi qismat mein sada tishna-labi lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.