har ghaDi barse hai baadal mujh mein
har ghaḌī barse hai bādal mujh meñ
kaun hai pyaas se pāgal mujh meñ
tum ne ro-dho ke tasallī kar lī
phailtā hai abhī kājal mujh meñ
maiñ adhūrā sā huuñ us ke andar
aur vo shaḳhs mukammal mujh meñ
chup kī dīvāroñ se sar phoḌe hai
jo ik āvāz hai pāgal mujh meñ
maiñ tujhe sahl bahut lagtā huuñ
tū kabhī chaar qadam chal mujh meñ
muzhda āñkhoñ ko ki phir se phūTī
ik na.e ḳhvāb kī koñpal mujh meñ
kāTne haiñ ka.ī ban-bās yahīñ
ug rahā hai jo ye jangal mujh meñ
aag meñ jaltā huuñ jab jab 'at.har'
aur aa jaatā hai kuchh bal mujh meñ
har ghaDi barse hai baadal mujh mein
kaun hai pyas se pagal mujh mein
tum ne ro-dho ke tasalli kar li
phailta hai abhi kajal mujh mein
main adhura sa hun us ke andar
aur wo shaKHs mukammal mujh mein
chup ki diwaron se sar phoDe hai
jo ek aawaz hai pagal mujh mein
main tujhe sahl bahut lagta hun
tu kabhi chaar qadam chal mujh mein
muzhda aankhon ko ki phir se phuTi
ek nae KHwab ki konpal mujh mein
kaTne hain kai ban-bas yahin
ug raha hai jo ye jangal mujh mein
aag mein jalta hun jab jab 'athar'
aur aa jata hai kuchh bal mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.