har ghaDi bimar ho kar rah gai
har ghaḌī bīmār ho kar rah ga.ī
zindagī bekār ho kar rah ga.ī
vo mohabbat jo ḳhushī kī ruuh thī
chashma-e-āzār ho kar rah ga.ī
zindagī ke is safar meñ har ravish
ik rah-e-dushvār ho kar rah ga.ī
sham.a ban kar jal ga.ī merī hayāt
sho.ala-e-gulnār ho kar rah ga.ī
likh rahe ye ishq kī ham dāstāñ
dard kā shahkār ho kar rah ga.ī
kar sakūñ parvāz ye himmat kahāñ
aarzū lāchār ho kar rah ga.ī
muflisī kī jhopḌī kī kyā kaheñ
be-dar-o-dīvār ho kar rah ga.ī
shām-e-ġham kī baat ab kyuuñ ho 'shafaq'
har nafas talvār ho kar rah ga.ī
har ghaDi bimar ho kar rah gai
zindagi bekar ho kar rah gai
wo mohabbat jo KHushi ki ruh thi
chashma-e-azar ho kar rah gai
zindagi ke is safar mein har rawish
ek rah-e-dushwar ho kar rah gai
shama ban kar jal gai meri hayat
shoala-e-gulnar ho kar rah gai
likh rahe ye ishq ki hum dastan
dard ka shahkar ho kar rah gai
kar sakun parwaz ye himmat kahan
aarzu lachaar ho kar rah gai
muflisi ki jhopDi ki kya kahen
be-dar-o-diwar ho kar rah gai
sham-e-gham ki baat ab kyun ho 'shafaq'
har nafas talwar ho kar rah gai
- Book : kaarvaa.n ujaalo.n kaa (Pg. 43)
- Author : Dr.Gopal krishn ‘Shafaq”
- Publication : Dr.Gopal krishn ‘Shafaq” (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.