har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein
har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
har ghaḌī chaltī hai talvār tire kūche meñ
roz mar rahte haiñ do-chār tire kūche meñ
shakl ko kyūñki na har dafa badal kar aa.uuñ
haiñ mirī taak meñ aġhyār tire kūche meñ
ġham se badlī hai mirī shakl to be-ḳhauf-o-ḳhatar
din ko bhī aate haiñ sau baar tire kūche meñ
na kare sū-e-chaman bhuul ke bhī ruḳh hargiz
aan kar bulbul-e-gulzār tire kūche meñ
nargisistāñ na samajh kholī huī āñkhoñ ko
haiñ tire tālib-e-dīdār tire kūche meñ
laa.e jab ghar se to behosh paḌā thā 'ārif'
ho gayā aan ke hushiyār tire kūche meñ
har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein
roz mar rahte hain do-chaar tere kuche mein
shakl ko kyunki na har dafa badal kar aaun
hain meri tak mein aghyar tere kuche mein
gham se badli hai meri shakl to be-KHauf-o-KHatar
din ko bhi aate hain sau bar tere kuche mein
na kare su-e-chaman bhul ke bhi ruKH hargiz
aan kar bulbul-e-gulzar tere kuche mein
nargisistan na samajh kholi hui aankhon ko
hain tere talib-e-didar tere kuche mein
lae jab ghar se to behosh paDa tha 'arif'
ho gaya aan ke hushiyar tere kuche mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.