har ghaDi ek nai musibat hai
har ghaDi ek nai musibat hai
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
har ghaḌī ik na.ī musībat hai
un kā aanā bhī kyā qayāmat hai
dil hai nākāmiyoñ kī lazzat hai
na tamannā hai ab na hasrat hai
gaahe rāhat gahe musībat hai
haa.e kyā chiiz ye mohabbat hai
arz-e-matlab kī un se jur.at hai
dil-e-nādāñ ye kyā qayāmat hai
ġhair par bhī vahī hai rañg-e-sitam
haañ mujhe aap se shikāyat hai
baaz aao bhī ishq se 'kaifī'
āfiyat bas isī meñ hazrat hai
har ghaDi ek nai musibat hai
un ka aana bhi kya qayamat hai
dil hai nakaamiyon ki lazzat hai
na tamanna hai ab na hasrat hai
gahe rahat gahe musibat hai
hae kya chiz ye mohabbat hai
arz-e-matlab ki un se jurat hai
dil-e-nadan ye kya qayamat hai
ghair par bhi wahi hai rang-e-sitam
han mujhe aap se shikayat hai
baz aao bhi ishq se 'kaifi'
aafiyat bas isi mein hazrat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.