har ghaDi ek sitam ijad kiya hai humne
har ghaḌī ik sitam ījād kiyā hai ham ne
shahr-e-dil ḳhud tujhe barbād kiyā hai ham ne
aaj is ke hī karishmoñ se haiñ mahjūb bahut
kal jise ḳhud hī parī-zād kiyā hai ham ne
ik imārat ki uThānī hai sar-e-dasht-e-vajūd
so ġham-e-jāñ tujhe buniyād kiyā hai ham ne
apne siine meñ utāre ka.ī ḳhanjar sau baar
tujh ko ik baar jo nāshād kiyā hai ham ne
kis qadar aaj havāoñ meñ laraztā rahā dil
kis qadar aaj tujhe yaad kiyā hai ham ne
har ghaDi ek sitam ijad kiya hai hum ne
shahr-e-dil KHud tujhe barbaad kiya hai hum ne
aaj is ke hi karishmon se hain mahjub bahut
kal jise KHud hi pari-zad kiya hai hum ne
ek imarat ki uThani hai sar-e-dasht-e-wajud
so gham-e-jaan tujhe buniyaad kiya hai hum ne
apne sine mein utare kai KHanjar sau bar
tujh ko ek bar jo nashad kiya hai hum ne
kis qadar aaj hawaon mein larazta raha dil
kis qadar aaj tujhe yaad kiya hai hum ne
- Book : Tabani (Pg. 63)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.