har ghaDi karb-e-musalsal mein kaTi jati hai
har ghaḌī karb-e-musalsal meñ kaTī jaatī hai
zindagī apne gunāhoñ kī sazā paatī hai
yaad aa.uuñ ki na aa.uuñ mirī qismat lekin
un se ummīd-e-mulāqāt chalī jaatī hai
yuuñ mire ba.ad hai duniyā pe udāsī taarī
jaise duniyā mire hālāt kā ġham khātī hai
jab bhī aatā hai tasavvur tire insānoñ kā
ek fariyād mire muñh se nikal jaatī hai
ḳhush raho dasht-e-tamannā kī havāo ki mujhe
tum se bichhḌe hue yāroñ kī mahak aatī hai
zindagī meñ ka.ī aise bhī mile the sāthī
ruuh ab jin ke tasavvur se bhī ghabrātī hai
ġhaur kartā huuñ jo 'shafqat' kabhī tanhā.ī meñ
apne hālāt pe tā-der hañsī aatī hai
har ghaDi karb-e-musalsal mein kaTi jati hai
zindagi apne gunahon ki saza pati hai
yaad aaun ki na aaun meri qismat lekin
un se ummid-e-mulaqat chali jati hai
yun mere baad hai duniya pe udasi tari
jaise duniya mere haalat ka gham khati hai
jab bhi aata hai tasawwur tere insanon ka
ek fariyaad mere munh se nikal jati hai
KHush raho dasht-e-tamanna ki hawao ki mujhe
tum se bichhDe hue yaron ki mahak aati hai
zindagi mein kai aise bhi mile the sathi
ruh ab jin ke tasawwur se bhi ghabraati hai
ghaur karta hun jo 'shafqat' kabhi tanhai mein
apne haalat pe ta-der hansi aati hai
- Book : NuqooshVol. No. 81-82 (Pg. E-152 B-145)
- Publication : Idarah faroog Urdu, Lahore (June 1960)
- Edition : June 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.