har ghaDi KHauf ke girdab mein rahna hi nahin
har ghaḌī ḳhauf ke girdāb meñ rahnā hī nahīñ
ab mujhe halqa-e-ahbāb meñ rahnā hī nahīñ
maiñ tirī baat karā detā huuñ ḳhud se lekin
aañkh kahtī hai kisī ḳhvāb meñ rahnā hī nahīñ
naam bhī letā nahīñ ab vo kahīñ jaane kā
kal jo kahtā thā ki punjab meñ rahnā hī nahīñ
ham mulāqāt ke auqāt baḌhā deñ lekin
der tak chāñd ko tālāb meñ rahnā hī nahīñ
vo to aise hī mujhe aap bulātī hai 'hasan'
jab ki mujh ko adab-ādāb meñ rahnā hī nahīñ
har ghaDi KHauf ke girdab mein rahna hi nahin
ab mujhe halqa-e-ahbab mein rahna hi nahin
main teri baat kara deta hun KHud se lekin
aankh kahti hai kisi KHwab mein rahna hi nahin
nam bhi leta nahin ab wo kahin jaane ka
kal jo kahta tha ki punjab mein rahna hi nahin
hum mulaqat ke auqat baDha den lekin
der tak chand ko talab mein rahna hi nahin
wo to aise hi mujhe aap bulati hai 'hasan'
jab ki mujh ko adab-adab mein rahna hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.