har ghaDi mehrban rahne do
har ghaḌī mehrbān rahne do
sau tarah ke gumān rahne do
ishq ko imtihān kyā matlab
ishq meñ imtihān rahne do
mere hisse meñ bijliyāñ aa.iiñ
kaun thā bāġhbān rahne do
baat aisī karo ki ho matlab
ye zamīn āsmān rahne do
koī va.ada kabhī nibhāyā hai
ye siyāsī bayān rahne do
tum ko parvāz kī hai fikr 'anjum'
tang hai āsmān rahne do
har ghaDi mehrban rahne do
sau tarah ke guman rahne do
ishq ko imtihan kya matlab
ishq mein imtihan rahne do
mere hisse mein bijliyan aain
kaun tha baghban rahne do
baat aisi karo ki ho matlab
ye zamin aasman rahne do
koi wada kabhi nibhaya hai
ye siyasi bayan rahne do
tum ko parwaz ki hai fikr 'anjum'
tang hai aasman rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.