har ghaDi rahta hai ab KHadsha mujhe
har ghaḌī rahtā hai ab ḳhadshā mujhe
pī na jaa.e vaqt kā dariyā mujhe
go haqīqat thā magar ai zindagī
ḳhvāb sā tū ne sadā dekhā mujhe
jab bhī miltā huuñ vahī chehra liye
bad-duā detā hai ā.īnā mujhe
chhoḌ aayā huuñ sulagtī ret meñ
jaane kyā kahtā ho naqsh-e-pā mujhe
us ke dil meñ ḳhud vafā nā-paid thī
dostī kī bhiik kyā detā mujhe
Dūbtī bujhtī huī āvāz huuñ
saath vaalo ġhaur se sunñā mujhe
har ghaDi rahta hai ab KHadsha mujhe
pi na jae waqt ka dariya mujhe
go haqiqat tha magar ai zindagi
KHwab sa tu ne sada dekha mujhe
jab bhi milta hun wahi chehra liye
bad-dua deta hai aaina mujhe
chhoD aaya hun sulagti ret mein
jaane kya kahta ho naqsh-e-pa mujhe
us ke dil mein KHud wafa na-paid thi
dosti ki bhik kya deta mujhe
Dubti bujhti hui aawaz hun
sath walo ghaur se sunna mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.