har ghaDi sans majra kya hai
har ghaḌī saañs mājrā kyā hai
ziist se merā rābta kyā hai
qaid haiñ ḳhvāb ik parinde ke
pinjre kī samt dekhtā kyā hai
titliyāñ phuul yā parī-chehre
ḳhvāb meñ koī dekhtā kyā hai
muddateñ ho ga.iiñ sadā aa.e
ai khañDar tujh meñ gūñjtā kyā hai
jab dhaḌaktī nahīñ haiñ dīvāreñ
to makānoñ meñ TūTtā kyā hai
har ghaDi sans majra kya hai
zist se mera rabta kya hai
qaid hain KHwab ek parinde ke
pinjre ki samt dekhta kya hai
titliyan phul ya pari-chehre
KHwab mein koi dekhta kya hai
muddaten ho gain sada aae
ai khanDar tujh mein gunjta kya hai
jab dhaDakti nahin hain diwaren
to makanon mein TuTta kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.