har ghane sae ko benam-o-nishan karta hua
har ghane saa.e ko benām-o-nishāñ kartā huā
vaqt guzrā ḳhvāb mere rā.egāñ kartā huā
kaun aatā hai mirī rātoñ ko karne mo'atabar
kaun jaatā hai mirī sham.eñ dhuāñ kartā huā
us ne hañste khelte phāñdī hai dīvār-e-yaqīñ
maiñ ki ḳhud ko phir rahā huuñ ḳhush-gumāñ kartā huā
kyā batā.ūñ kis tarah pesh aa.ī mujh se zindagī
so na jā.ūñ maiñ yahī qissa bayāñ kartā huā
merī bastī se hai guzrā ek lashkar is tarah
duudh piite bachchoñ ko mashq-e-sināñ kartā huā
sah rahā huuñ der se lā-samtiyat kā ik azaab
kaT gayā apnoñ se ḳhud ko āsmāñ kartā huā
kho ga.e gāḌhe dhueñ meñ shahr ke manzar tamām
ik parinda rah gayā āh-o-fuġhāñ kartā huā
kis ne rakkhī hai mirī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī qatār
kaun ḳhvāhish dil kī jaatā hai javāñ kartā huā
har ghane sae ko benam-o-nishan karta hua
waqt guzra KHwab mere raegan karta hua
kaun aata hai meri raaton ko karne mo'atabar
kaun jata hai meri shamen dhuan karta hua
us ne hanste khelte phandi hai diwar-e-yaqin
main ki KHud ko phir raha hun KHush-guman karta hua
kya bataun kis tarah pesh aai mujh se zindagi
so na jaun main yahi qissa bayan karta hua
meri basti se hai guzra ek lashkar is tarah
dudh pite bachchon ko mashq-e-sinan karta hua
sah raha hun der se la-samtiyat ka ek azab
kaT gaya apnon se KHud ko aasman karta hua
kho gae gaDhe dhuen mein shahr ke manzar tamam
ek parinda rah gaya aah-o-fughan karta hua
kis ne rakkhi hai meri aankhon mein KHwabon ki qatar
kaun KHwahish dil ki jata hai jawan karta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.