har gosha-e-nazar mein samae hue ho tum
har gosha-e-nazar meñ samā.e hue ho tum
jaise ki mere sāmne aa.e hue ho tum
merī nigāh-e-shauq pe chhā.e hue ho tum
jalvoñ ko ḳhud hijāb banā.e hue ho tum
kyuuñ ik taraf nigāh jamā.e hue ho tum
kyā raaz hai jo mujh se chhupā.e hue ho tum
dil ne tumhāre husn ko baḳhshī haiñ rif.ateñ
dil ko magar nazar se girā.e hue ho tum
ye jo niyāz-e-ishq kā ehsās hai tumheñ
shāyad kisī ke naaz uThā.e hue ho tum
yā mehrbāniyoñ ke hī qābil nahīñ huuñ maiñ
yā vāqa'ī kisī ke sikhā.e hue ho tum
ab imtiyāz-e-parda-o-jalva nahīñ mujhe
chehre se kyuuñ naqāb uThā.e hue ho tum
uf re sitam 'shakīl' ye hālat to ho ga.ī
ab bhī karam kī aas lagā.e hue ho tum
har gosha-e-nazar mein samae hue ho tum
jaise ki mere samne aae hue ho tum
meri nigah-e-shauq pe chhae hue ho tum
jalwon ko KHud hijab banae hue ho tum
kyun ek taraf nigah jamae hue ho tum
kya raaz hai jo mujh se chhupae hue ho tum
dil ne tumhaare husn ko baKHshi hain rifaten
dil ko magar nazar se girae hue ho tum
ye jo niyaz-e-ishq ka ehsas hai tumhein
shayad kisi ke naz uThae hue ho tum
ya mehrbaniyon ke hi qabil nahin hun main
ya waqa'i kisi ke sikhae hue ho tum
ab imtiyaz-e-parda-o-jalwa nahin mujhe
chehre se kyun naqab uThae hue ho tum
uf re sitam 'shakil' ye haalat to ho gai
ab bhi karam ki aas lagae hue ho tum
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 102)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.