har goshe mein bikhre hue sannaTon ke Dar se
har goshe meñ bikhre hue sannāToñ ke Dar se
vīrāniyāñ ghabrā ke nikal aa.ī haiñ ghar se
is darja thake-māñde nazar aate haiñ chehre
lauTā ho koī jaise bahut lambe safar se
jis samt ghanī chhāñv ke ḳheme se tane haiñ
guzrā hai kaḌī dhuup kā lashkar bhī udhar se
aksar huā aisā ki bhare ghar meñ sar-e-shām
tanhā.ī ke aaseb dar-o-bām se barse
har gaam pe bikhre haiñ jahāñ ḳhār-e-ta.alluq
guzrā huuñ ka.ī baar usī rāhguzar se
har goshe mein bikhre hue sannaTon ke Dar se
viraniyan ghabra ke nikal aai hain ghar se
is darja thake-mande nazar aate hain chehre
lauTa ho koi jaise bahut lambe safar se
jis samt ghani chhanw ke KHeme se tane hain
guzra hai kaDi dhup ka lashkar bhi udhar se
aksar hua aisa ki bhare ghar mein sar-e-sham
tanhai ke aaseb dar-o-baam se barse
har gam pe bikhre hain jahan KHar-e-talluq
guzra hun kai bar usi rahguzar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.