har gul se har Khaar se uljha rahta hai
har gul se har ḳhaar se uljhā rahtā hai
dil hai apne yaar se uljhā rahtā hai
phuul ḳhafā rahte haiñ apnī shāḳhoñ se
dar apnī dīvār se uljhā rahtā hai
merī javānī kā sāthī mirā ā.īna
chāñdī ke har taar se uljhā rahtā hai
jaane merā shā.ir beTā kyuuñ aksar
daadā kī talvār se uljhā rahtā hai
log to āḳhir log haiñ un se kyā shikva
iisā kyuuñ bīmār se uljhā rahtā hai
mūrat bantī TūTtī bantī rahtī hai
fan apne fankār se uljhā rahtā hai
har gul se har KHar se uljha rahta hai
dil hai apne yar se uljha rahta hai
phul KHafa rahte hain apni shaKHon se
dar apni diwar se uljha rahta hai
meri jawani ka sathi mera aaina
chandi ke har tar se uljha rahta hai
jaane mera shair beTa kyun aksar
dada ki talwar se uljha rahta hai
log to aaKHir log hain un se kya shikwa
isa kyun bimar se uljha rahta hai
murat banti TuTti banti rahti hai
fan apne fankar se uljha rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.