har guman par yaqin na ho jae
har gumāñ par yaqīñ na ho jaa.e
āsmāñ be-zamīñ na ho jaa.e
qatl merā karo magar rusvā
aap kī āstīñ na ho jaa.e
us pe ash.ār kahnā kam kar do
vo ziyāda hasīñ na ho jaa.e
dard ko pālte raho jab tak
dilbaro dil-kashī na ho jaa.e
tere iz.hār-e-haq se dekh 'shafīq'
har koī nukta-chīñ na ho jaa.e
har guman par yaqin na ho jae
aasman be-zamin na ho jae
qatl mera karo magar ruswa
aap ki aastin na ho jae
us pe ashaar kahna kam kar do
wo ziyaada hasin na ho jae
dard ko palte raho jab tak
dilbaro dil-kashi na ho jae
tere izhaar-e-haq se dekh 'shafiq'
har koi nukta-chin na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.