har haqiqat sarab ki surat
har haqīqat sarāb kī sūrat
ḳhvāb meñ huuñ maiñ ḳhvāb kī sūrat
maiñ tirī hī kitāb meñ tujh ko
rakh chukī huuñ gulāb kī sūrat
tujh ko mahsūs kar rahī huuñ maiñ
aane vaale azaab kī sūrat
lauh-e-mahfūz meñ mujhe koī
likh rahā hai kitāb kī sūrat
mo.ajiza hai agar nikal aa.e
ḳhushk miTTī meñ aab kī sūrat
qarz dūñgī tirī mohabbat kā
umr bhar ke azaab kī sūrat
har haqiqat sarab ki surat
KHwab mein hun main KHwab ki surat
main teri hi kitab mein tujh ko
rakh chuki hun gulab ki surat
tujh ko mahsus kar rahi hun main
aane wale azab ki surat
lauh-e-mahfuz mein mujhe koi
likh raha hai kitab ki surat
moajiza hai agar nikal aae
KHushk miTTi mein aab ki surat
qarz dungi teri mohabbat ka
umr bhar ke azab ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.