har inT sochti hai ki diwar us se hai
har iiñT sochtī hai ki dīvār us se hai
har sar yahī samajhtā hai dastār us se hai
hai aag peT kī tabhī chham-chham hai raqs meñ
paa.el samajhtī hai ki ye jhankār us se hai
ummīd un se koī lagānā hī hai fuzūl
har mantarī kī soch hai sarkār us se hai
ghar ko banā.eñ ghar sadā ghar ke hī log sab
aur aadmī samajhtā hai parivār us se hai
kartī haiñ paar kashtī duā.eñ hī asl meñ
māñjhī kā sochnā hai ki patvār us se hai
insān kā ġhurūr ye kahne lagā hai ab
sansār se nahīñ hai vo sansār us se hai
kaise banegī baat mohabbat kī ai 'rajat'
iz.hār ab talak na kiyā pyaar us se hai
har inT sochti hai ki diwar us se hai
har sar yahi samajhta hai dastar us se hai
hai aag peT ki tabhi chham-chham hai raqs mein
pael samajhti hai ki ye jhankar us se hai
ummid un se koi lagana hi hai fuzul
har mantari ki soch hai sarkar us se hai
ghar ko banaen ghar sada ghar ke hi log sab
aur aadmi samajhta hai pariwar us se hai
karti hain par kashti duaen hi asl mein
manjhi ka sochna hai ki patwar us se hai
insan ka ghurur ye kahne laga hai ab
sansar se nahin hai wo sansar us se hai
kaise banegi baat mohabbat ki ai 'rajat'
izhaar ab talak na kiya pyar us se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.