har ek aansu ka haq mujhko chukana hai
har ik aañsū kā haq mujh ko chukānā hai
ġhazal se ab mujhe paisa kamānā hai
jo apnā kal tumheñ behtar banānā hai
samajh lo beTiyoñ ko phir paḌhānā hai
kisī kī bhī hikāyat ye nahīñ suntā
baḌā be-dard ye jāhil zamāna hai
karūñ maiñ iltijā koī ḳhudā se kyoñ
na aayā hai mirā number na aanā hai
sahāfī to kabhī to muḳhbirī kar do
baḌā behāl huuñ us ko batānā hai
nahīñ hai dauḌ ye koī magar phir bhī
na jaane kyoñ tumheñ mujh ko harānā hai
ye har insān ko pāgal samajhte haiñ
mujhe logoñ ko pāgalpan dikhānā hai
har ek aansu ka haq mujh ko chukana hai
ghazal se ab mujhe paisa kamana hai
jo apna kal tumhein behtar banana hai
samajh lo beTiyon ko phir paDhana hai
kisi ki bhi hikayat ye nahin sunta
baDa be-dard ye jahil zamana hai
karun main iltija koi KHuda se kyon
na aaya hai mera number na aana hai
sahafi to kabhi to muKHbiri kar do
baDa behaal hun us ko batana hai
nahin hai dauD ye koi magar phir bhi
na jaane kyon tumhein mujh ko harana hai
ye har insan ko pagal samajhte hain
mujhe logon ko pagalpan dikhana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.