har ek achchhe-bure se wasta hai
har ik achchhe-bure se vāsta hai
mujhe ye shahr saarā jāntā hai
vo bādal huuñ jo barsegā yaqīnan
mire rone meñ sab kā fā.eda hai
ye sach hai tū rag-e-jāñ se hai nazdīk
magar jiinā to merā mas.ala hai
shab-e-furqat koī aa.e na aa.e
sahar hone kā ḳhadsha dūsrā hai
mujhe ab ehtiyātan ḳhat na likhnā
mire beTe ko paḌhnā aa gayā hai
tumheñ ehsās ho jā.egā 'nusrat'
yahāñ har aadmī tum se baḌā hai
har ek achchhe-bure se wasta hai
mujhe ye shahr sara jaanta hai
wo baadal hun jo barsega yaqinan
mere rone mein sab ka faeda hai
ye sach hai tu rag-e-jaan se hai nazdik
magar jina to mera masala hai
shab-e-furqat koi aae na aae
sahar hone ka KHadsha dusra hai
mujhe ab ehtiyatan KHat na likhna
mere beTe ko paDhna aa gaya hai
tumhein ehsas ho jaega 'nusrat'
yahan har aadmi tum se baDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.