har ek darwesh ka qissa alag hai
har ik darvesh kā qissa alag hai
magar tarz-e-bayāñ apnā alag hai
ġhanīmat hai baham mil baiThnā bhī
agarche vasl kā lamha alag hai
mile the kab jo ham ab phir mileñge
hamārā aap kā rasta alag hai
ibārat hai shu.ūr-e-zindagī se
na ye duniyā na vo duniyā alag hai
nahīñ hai aur vābasta hai sab se
hamāre dard kā rishta alag hai
har ek darwesh ka qissa alag hai
magar tarz-e-bayan apna alag hai
ghanimat hai baham mil baiThna bhi
agarche wasl ka lamha alag hai
mile the kab jo hum ab phir milenge
hamara aap ka rasta alag hai
ibarat hai shuur-e-zindagi se
na ye duniya na wo duniya alag hai
nahin hai aur wabasta hai sab se
hamare dard ka rishta alag hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.