har ek dhaDkan ajab aahaT
har ik dhaḌkan ajab aahaT
parindoñ jaisī ghabrāhaT
mire lahje meñ shīrīnī
mirī āñkhoñ meñ kaḌvāhaT
mirī pahchān hai shāyad
mire hisse kī uktāhaT
simaTtā sher hai.at meñ
badan kī sī ye gadrāhaT
misr maiñ fan mirā zid par
ye bālak haT vo tiryāhaT
ujāle Das na leñ is ko
bachā rakkho ye dhuñdlāhaT
lahū kī sīḌhiyoñ par hai
koī baḌhtī huī aahaT
har ek dhaDkan ajab aahaT
parindon jaisi ghabrahaT
mere lahje mein shirini
meri aankhon mein kaDwahaT
meri pahchan hai shayad
mere hisse ki uktahaT
simaTta sher haiat mein
badan ki si ye gadrahaT
misr main fan mera zid par
ye baalak haT wo tiryahaT
ujale Das na len is ko
bacha rakkho ye dhundlahaT
lahu ki siDhiyon par hai
koi baDhti hui aahaT
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 118)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.